Close

In memory of Dhaka fall (urdu)

aansooN say tumhain alwidain kaheeN
razm gahaoN nay jab bhee pukara tumhaiN
tum zafar mand to khair kya lot-tay
haar nay bhee na jee say utara tumhain
tum nay jaaN kay iwaz aabroo baich dee
phir bhee ham nay kya hay gawara tumhain
seena chakan-e-mashriq bhee apnay hee thay
jin ka khooN mooN pay malnay kay tum aaey they
in kee taqdeer to kya badaltay magar
in kee naslain badalnay ko tum aaey thay
yaad hoN kay tumhain wo ayyam bhee
tum aseeree say jab lot kar aaey thay
ham dareeda jigar rastoN main khaRay
apnay dil apnee aNkhoN main bhar laey thay
kya khabar thee kay tum say shakista ana
apnay zakhmoN kay pas chatney aaeN gay
jin kay jabroN ka apnoN ka khooN lag gaya
zulm kee sab hadaiN patnay aaeN gay
aur marg-e-bangal kay baad bolan main
shehrioN kay galay katnay aaing gay
jaisay bartanwee raaj main gorakhay
baaghioN pay sitam aam un kay bhee thay
jaisay saffaak goray vietnam maiN
haq parastoN pay ilzam un kay bhee thay
aaj tum main aur un main faraq to nahee
raifalaiN , wardiaN , naam un kay bhee thay
aaj tum nay sarhad say mehran tak
yeh maqtal sajaey hain kyooN ghazioN
kis shehehnshah-e-aali ka farman hay
kis kay aagay ho tum sar nigooN ghazio
tum nay dekhay haiN jamhoor kay qaflay
jin kay hathoN main parcham baghawat kay hain
papRioN par jamee papRiaN khoon kee
keh rahee haiN yeh manzar qyamat kay hain
kal tumharay liye pyar seenoN maiN tha
ab jo sholay uthay haiN wo nafrat kay haiN
ab to shair pay bhee qarz mattee ka hay
ab qalam maiN lahoo hay siyahee nahee
khol utra tumhara to zahir hua
PAISHA WAR QATILO, TUM SIPAHEE NAHEE
ab sab hee bay zameeroN kay sar chahiye
ab faqat qissa e taj e shahi nahee


-Ahmed Faraz

Share

1 thought on “In memory of Dhaka fall (urdu)

Comments are closed.