zulmat ko zia , sarsar ko saba banday ko khuda kya likhna
deewar ko dar, pathar ko gohar, jugnoo ko diya kya likhna
ek hashr bapa hay ghar ghar main, dam ghutaa hay gunbad-e-bay dar main
ek shakhs kay haathoN muddat say, ruswa hay watan dunya bhar maiN
ey deeda waro is zillat ko qismat ka likha kya likhna
Taqdeer ke qazi ka yeh fatwa hai azal se
jurm-e-Zaifi ki saza marg-e-mafajaat
[Humor]
meray karawaN main shamil koi kam nazar nahee hay
kay khushi say mar na jatay agar aitbaar hota
meray karawaN main shamil koi kam nazar nahee hay
jo na mit sakay watan par , mera ham safar nahee hay
dar-e-ghair par hamesha , thumhaiN sajda raiz dekha
aisa koi dagh-e-sajda meray naam par nahee hay
meray haath main qalam hay , meray zehan main ujala
mujhay kya daba sakay ga, koi zulmatoN ka pala
mujhay fikre amn-e-aalam , tujhay apnee zaat ka gham
main tulu horaha hooN , too ghuroob honay wala
kehtay hay kay gosht na khata tha muarree
phal phool par karta tha apnee guzar auqat
ek dost nay bhoona hua teetar usay bheja
shayed is tadbeer say us shatir ko ho maat
afsos sad afsos shaheeN na bana na too
Taqdeer ke qazi ka yeh fatwa hai azal se
jurm-e-Zaifi ki saza marg-e-mafajaat